har waqt,
har waqt,
yuhi kahi kho sa jaata hun,
jb apni saanso mein khushbu uski paata hun........
yuhi chalte chalte thokar kha jaata hun,
jb upar lage poster mein chehra uska paata hun......
yuhi sote sote jag sa jaata hun,
jb jb sapne mein usse dur jaata khud ko paata hun......
yuhi haste haste gumsum sa ho jaata hun,
jb hasi mein uski awaaj mein nai paata hun........
pal har pal yaad usi ki aati hai
jb aas paas ki hawa uske ghar ki aur se aayi si lagti hai.........
jb apni hasi mein uski kilkariyo ko paata hun....
diwana sa ho jaata hun......
purani photo ab anjani si lagti hai,
kuonki tere dur hone ka ehsaas wo dilati hai.........
waqt ne shayad kuch to socha hoga,
hmara saath itna kam thodi na likha hoga,
khusnasib hai wo jinka pyar unhe mil gya hmesha ke liye,
umeed karte hai,chamatkaar hoga ek din,
hmara naseeb bi aakhir itna bura thodi na hoga...
hmara naseeb bi aakhir itna bura thodi na hoga...
yuhi aaj kho sa jaata hun.........
har waqt har waqt haq waqt.............
No comments:
Post a Comment